bharam khulne na paa.e bandagi ka
vo matam kar rahe hain zindagi ka
ta.ajjub hai ḳhulus-e-dostan par
nahin gham dushmanon ki dushmani ka
bhaḌak uThti hai dil men atish-e-gham
ḳhayal aata hai jab un ki gali ka
abhi hai band aankh insaniyat ki
abhi dam ghuT raha hai aadmi ka
tumhari yaad ne ki rahnuma.i
ḳhayal aaya mujhe jab be-ḳhudi ka
lagi dil ki ho alfaz-o-bayan men
yahi ek ḳhaas fan hai sha.iri ka
vahi dushman bane baiThe hain ‘maikash’
jo dam bharte the apni dosti ka
Leave a Reply