kaun kahta hai ki aa kar dekh lo
haal ashiq ka bula kar dekh lo
puchhte kya ho ki dil men kaun hai
lo ye a.ina uTha kar dekh lo
puchhna ye hai ki puchho mujh se haal
dekhna ye hai ki aa kar dekh lo
vo agar dekhe to ankhen phuuT jaa.en
tum ‘hasan’ ko chhup-chhupa kar dekh lo
Leave a Reply