zindagi jis par hanse aisi koi ḳhvahish na ki
ghaao siine men saja.e ghar ki ara.ish na ki
nukta-chini par miri tum itne bargashta na ho
kah diya jo kuchh bhi dil men tha magar sazish na ki
ek se halat aa.e hain nazar har daur men
ruk ga.e mere qadam ya vaqt ne gardish na ki
jhuk gaya qadmon pe tere phir bhi sar uncha raha
aankh patthar ho ga.i jalvon ki farma.ish na ki
laakh nazron ko uchhala tu na aaya baam par
saa.e sar paTḳha kiye divar ne jumbish na ki
main ne jin ankhon ko siine men utara phir ga.iin
ḳhud ko apnane ki is Dar se kabhi koshish na ki
rah ke mahdud-e-vasa.il ki ‘muzaffar’ ne basar
paanv phaila kar kabhi chadar ki paima.ish na ki
Leave a Reply