ham ne kis din tire kuche men guzara na kiya
tu ne ai shokh magar kaam hamara na kiya
ek hi baar huiin vajh-e-giraftari-e-dil
iltifat un ki nigahon ne dobara na kiya
mahfil-e-yar ki rah jaegi aadhi raunaq
naaz ko us ne agar anjuman-ara na kiya
tan-e-ahbab sune sarzanish-e-khalq sahi
ham ne kya kya tiri khatir se gavara na kiya
jab diya tum ne raqibon ko diya jam-e-sharab
bhuul kar bhi miri janib ko ishara na kiya
ru-ba-ru chashm-e-tasavvur ke vo har vaqt rahe
na sahi aankh ne gar un ka nazara na kiya
gar yahi hai sitam-e-yar to ham ne ‘hasrat’
na kiya kuchh bhi jo duniya se kinara na kiya
Leave a Reply