Tere KHayal Mein Jab Zehn Mubtala Nahin Tha

tire ḳhayāl meñ jab zehn mubtalā nahīñ thā

maiñ sochtā thā magar aisā sochtā nahīñ thā

sadā lagāte rahe tujh ko Dūbne vaale

koī bhī tere sivā un ke paas thā nahīñ thā

zarā tū soch ki un bām-o-dar pe kyā guzrī

siyāh raat thī ghar meñ koī diyā nahīñ thā

maiñ apne aap se bāhar nikal ke kyā kartā

koī bhī shahar meñ mere mizāj kā nahīñ thā

safīna is liye ġharqāb ho gayā ‘dānish’

thā jis ke haath meñ chappū vo nāḳhudā nahīñ thā

Leave a Comment