Sae Ke Haq Mein Kuchh Nahin Mere Bayan Mein

saa.e ke haq meñ kuchh nahīñ mere bayān meñ

jo aap chhuptā phirtā hai har sā.ebān meñ

ye chhoTe chhoTe shauq bhī us ko ravā nahīñ

jis ko baḌā banāyā gayā ḳhāndān meñ

mujh ko hai aadmī se tavaqqo ḳhulūs kī

sonā talāsh kartā huuñ miTTī kī kaan meñ

qad se nahīñ banā.ī hai pahchān jast se

ye farq hai hamārī tumhārī uThān meñ

miTTī meñ milne vaale haiñ kal us ke chīthḌe

uḌtī rahe patañg bhale āsmān meñ

chup rah sake jo aadmī chup ke maqām par

ye ḳhāmushī ho zumra-e-fauq-ul-bayān meñ

ab tak hameñ ḳhabar hī nahīñ thī kamāl hai

nikle haiñ ham bhī aap ke dil-dādgān meñ

fitrat se kachche-pakke ta.alluq kī baat kyā

miTTī kī baas tak nahīñ pakke makān meñ

Leave a Comment