ma.al-e-shab ba-unvan-e-sahar kahna hi paḌta hai
koi rasta ho us ki rahguzar kahna hi paḌta hai
vo sannaTa ḳhirad kahti hai jis ko ghar ki virani
use bhi raunaq-e-divar-o-dar kahna hi paḌta hai
sulag jaata hai siina jis ki ThanDi sarsarahaT se
us atish ko bhi yaan bad-e-sahar kahna hi paḌta hai
sharik-e-rahguzar koi nahin hota magar phir bhi
yahan har rah-rau ko ham-safar kahna hi paḌta hai
musallam gul-kadon ki lala-samani magar hamdam
sharar-o-barq ko bhi mo’atabar kahna hi paḌta hai
ba-har-surat guzar jaati hai jo dil par guzarti hai
magar phir apne ghar ko apna ghar kahna hi paḌta hai
kuchh aise bhi fasane mahfilon men chheḌe jaate hain
ki jin ko ehtiyatan muḳhtasar kahna hi paḌta hai
ḳhamoshi ek majburi takallum ek mahrumi
kisi se kah nahin sakte magar kahna hi paḌta hai
Leave a Reply