hairan huun dil ka haal chhupa.un kahan kahan
sab jaan ga.e baat bana.un kahan kahan
ik chiiz zaḳhm-e-dil hai dikha.un kahan kahan
ik baat soz-e-dil hai suna.un kahan kahan
do chaar hon maqam to tirath bhi kar bane
har ja jo tu rahe to main ja.un kahan kahan
har shai men har bashar men nazar aa raha hai tu
sajde men apne sar ko jhuka.un kahan kahan
sahra sahi nasib men par kya meri sa.at
ik musht-e-ḳhak ḳhaak uḌa.un kahan kahan
mahfil men mai-kade men ki bazm-e-raqib men
batla ki tujh se aankh chura.un kahan kahan
ik dasht-e-la-hisab men khoya gaya hai dil
‘rahbar’ ab us ko DhunDne ja.un kahan kahan
Leave a Reply