rahat kahan nasib thi jo ab kahin nahin
vo asman nahin hai ki ab vo zamin nahin
ho josh sidq-e-dil men to rahat baghal men ho
qaa.em ye asman rahe ya zamin nahin
hubb-e-vatan ko himmat-e-mardana chahiye
darkar aah sina-e-andoh-gin nahin
ḳhun-e-dil-o-jigar se ise sinch ai aziiz
kisht-e-vatan hai ye koi kisht-e-javin nahin
haq-goi ki sada thi na rukni na ruk saki
kab vaar ki sinanen galon men chubhin nahin
dagh-e-gham-e-vatan hai nishan-e-aziz-e-ḳhalq
dil par na jis ka naqsh ho ye vo nagin nahin
jang-e-vatan men sidq ke hathiyar ka hai kaam
darkar is men aslaha-e-ahin nahin
ghar-bar tera par tu kisi chiiz ko na chheḌ
ye baat to harifon ki kuchh dil-nashin nahin
jis baat par aziiz aḌe hain aḌe rahen
kahne den un ko unche gale se nahin nahin
kya jaane dil jigar ko mire jo ye kah gaya
daman bhi taar taar nahin astin nahin
mabud hai vatan huun parastar usi ka main
dair o haram men jo jhuke ye vo jabin nahin
‘kaifi’ isi se ḳhairiyat-e-hind men hai der
hubb-e-vatan ka josh kahin hai kahin nahin
Leave a Reply