bazm ḳhali nahin mehman nikal aate hain
kuchh to afsane miri jaan nikal aate hain
roz ik marg ka aalam bhi guzarta hai yahan
roz jiine ke bhi saman nikal aate hain
sochta huun par-e-parvaz sameTun lekin
kitne bhule hue paiman nikal aate hain
yaad ke soe hue qafile jaag uThte hain
ḳhvab ke kuchh nae unvan nikal aate hain
baiThna chahti hai thak ke jo vahshat apni
kitne hi dasht-o-bayaban nikal aate hain
isti.are hain jo ankhon se chhalak paḌte hain
kitne hi ashk ke divan nikal aate hain
ik zara chain bhi lete nahin ‘tabish’-sahab
mulk-e-gham se nae farman nikal aate hain