gulon ki chaah men tauhin-e-barg-o-bar na kar
bhare chaman men ye saman-e-intishar na kar
ḳhizan riyaz-e-chaman hai ḳhizan gudaz-e-chaman
ḳhizan ka Dar ho to phir ḳhvahish-e-bahar na kar
bas ek dil hai yahan vaqif-e-nasheb-o-faraz
vafa ki raah men rahbar ka intizar na kar
hujum-e-gham men tabassum ka khel dekh liya
main kah raha tha mire gham ka e’tibar na kar
kaha ye ishq se dar-o-salib-e-zindan ne
majal ho to miri raah iḳhtiyar na kar
ye taaza taaza qafas kya ḳhizan se kuchh kam hain
hujum-e-gul hi se andaza-e-bahar na kar
nasim-e-sub.h unhen muskura to lene de
abhi gulon se koi zikr-e-nagavar na kar
udhar har ek nazar men hai hasraton ka julus
idhar ye hukm-e-haya hai nigahen chaar na kar
ye puchhna hai kisi din janab-e-‘zaidi’ se
ki aap ne to kaha tha kisi se pyaar na kar
Leave a Reply