kis ne kaha ki mujh ko ye duniya nahin pasand
bas samne ka thoḌa sa hissa nahin pasand
barson se is ke saath guzar kar rahe hain ham
har-chand zindagi ka ravayya nahin pasand
suraj tulua hote hi dar band ho ga.e
ye kaise log hain ki savera nahin pasand
ḳhvahish to hai mujhe bhi ki manzil mile magar
yuun dusron ki raah pe chalna nahin pasand
main janta huun jaan hi le legi tishnagi
lekin mujhe ḳhushamad-e-dariya nahin pasand
tarif kar rahe the sabhi ziist ki ‘salim’
main ne bhi kuchh qarib se dekha nahin pasand
Leave a Reply