gulzar men ek phuul bhi ḳhandan to nahin hai
kuchh aur hai ye daur-e-baharan to nahin hai
hai chak-ba-daman hi tu ai lala-e-ḳhud-sar
gul teri tarah dagh-ba-daman to nahin hai
achchha hi hua Duub gaya mera safina
ab kashmakash-e-sahil-o-tufan to nahin hai
taqdir ki baat aur hai varna dil-e-muztar
ummid ke bar aane ka imkan to nahin hai
is bar-e-garan ka hai uThana bahut asan
gham hai kisi kam-zarf ka ehsan to nahin hai
pamal kare kyuun koi be-dard ki sabza
begana sahi nang-e-gulistan to nahin hai
qimat mire aansu ki faqat ek tabassum
shabnam ki tarah ye koi arzan to nahin hai
kyuun mujh pe nazar hai tiri ai gardish-e-dauran
hasti miri duniya men numayan to nahin hai
kuchh daagh hain kuchh zaḳhm hain ‘fazil’ ke jigar men
muflis hai magar be-sar-o-saman to nahin hai
Leave a Reply