puchhte ho kya ki kya hai aadmi
aab miTTi hai hava hai aadmi
fitratan to hai baḌa hi dil-jala
par mizajan dil-bujha hai aadmi
gutthiyan taqdir ki suljha.e kya
ḳhud hi jab uljha hua hai aadmi
duur rahne hi men samjho afiyat
ye na bhulo sar-phira hai aadmi
ibtida se umr ke anjam tak
jang apni laḌ raha hai aadmi
kar raha hai zindagi ka ehtisab
aap apna aa.ina hai aadmi
laḌ nahin sakta vo apne aap se
kitna bebas ho gaya hai aadmi
Leave a Reply