ashiqi men ḳhamushi mumkin hai na-mumkin nahin
kya karun mujh se to zabt-e-iltija mumkin nahin
talib-e-azar ishq aur husn asa.ish-pasand
tu bhi ho mera sharik-e-mudda.a mumkin nahin
main jo miT ja.un to badlun rang-o-bu ka pairahan
alam-e-ijad men meri fana mumkin nahin
har jagah jalve tire meri nazar ke saath hain
main pukarun tu na ho jalva-numa mumkin nahin
sazish-e-dariya-o-sahil se to mumkin hai magar
mujh ko ye maujen Dubo den na-ḳhuda mumkin nahin
jis nazar ko mere dard-e-dil ka bhi irfan na ho
vo nazar ho jaa.e alam-ashna mumkin nahin
Leave a Reply