apne maazi ke ghane jangal se
kaun niklega! kahan niklega
be-karan raat sitare nabud
chand ubhra hai? kahan ubhra hai?
ik fasana hai tajalli ki numud
kitne gunjan hain ashjar-e-buland
kitna mauhum hai aadam ka vajud
muzmahil chaal qadam bojhal se
apne maazi ke ghane jangal se
mujh ko sujhi hai nai rah-e-farar
aahan o sang o sharar barsaen
aao ashjar ki buniyadon par
tesha o tegh-o-tabar barsaen
ik tasalsul se ham apni choten
be-khatar bar-e-digar barsaen
zehn par chhae hain kyuun badal se
apne maazi ke ghane jangal se
nau-e-insan ko nikalna hoga
in andheron ko nigalna hoga
Leave a Reply