ju-e-kam-ab se ik tez sa jharna hua main
teri janib huun ravan shor machata hua main
mujh se ḳhali nahin ab ek bhi zarra hai yahan
dekh ye tang zamin aur ye phaila hua main
dekh kar vus.at-e-sahra-e-tapan larzan huun
sahil-e-dida-e-namnak pe Thahra hua main
pa-ba-zanjir idhar tez hua aur udhar
ḳhaak ke taḳht pe sultan sa baiTha hua main
koi ḳhurshid sa duniya pe chamakta hua tu
kisi divar se saaya sa nikalta hua main
Leave a Reply