
Ismail Merathi
hai vasf tira muhit-e-azam
yaan taab kise shanavari ki
di zindagi aur us ka saman
kya shaan hai banda-parvari ki
shahansha-e-vaqt hai vo jis ne
tere dar ki gadagari ki
bad-tar huun vale karam se tere
ummid-e-qavi hai behtari ki
kya aankh ko til diya ki jis men
vusat hai charkh-e-chambari ki
dekha to vahi hai rah-o-rahrav
phir us ne hai aap rahbari ki
har shakl men tha vahi numudar
ham ne hi nigah sarsari ki
kya baat hai gar kiya tarahhum
haihat jo tu ne davari ki
ki baad-e-khizan bahar paida
sukhi tahni hari-bhari ki
jhuut aur mubalagha ne afsos
izzat kho di sukhanvari ki
likkhi thi ghazal ye agara men
pahli tarikh january ki

Leave a Reply