teri mushkil kisi ko kya ma.alum
ai mere dil kisi ko kya ma.alum
tera rasta juda hi hai sab se
teri manzil kisi ko kya ma.alum
jo kisi dil men chal rahi hai abhi
aisi mahfil kisi ko kya ma.alum
dusron ke kinare jante hain
apna sahil kisi ko kya ma.alum
ye rayazi ka formula nahin
qimat-e-dil kisi ko kya ma.alum
kitna asan ho gaya huun main
meri mushkil kisi ko kya ma.alum
Leave a Reply