sannate ka dard nikhara karta huun
khud ko khamoshi se pukara karta huun
tanhai jab aina dikhlati hai
apni zaat ka pahron nazara karta huun
avazon ka bojh uthae sadiyon se
banjaron ki tarah guzara karta huun
khvabon ke sunsan jaziron men ja kar
virani se zikr tumhara karta huun
jab se ninden laut gaiin taron ki taraf
jagte men zakhmon ko sanvara karta huun
Leave a Reply