badan ko zaḳhm karen ḳhaak ko labada karen
junun ki bhuli hui rasm ka i.aada karen
tamam agle zamanon ko ye ijazat hai
hamare ahd-e-guzishta se istifada karen
unhen agar miri vahshat ko azmana hai
zamin ko saḳht karen dasht ko kushada karen
chalo lahu bhi charaghon ki nazr kar denge
ye shart hai ki vo phir raushni ziyada karen
suna hai sachchi ho niyat to raah khulti hai
chalo safar na karen kam se kam irada karen
Leave a Reply