ada-e-ishq huun puuri ana ke saath huun main
ḳhud apne saath huun ya.ani ḳhuda ke saath huun main
mujavaran-e-havas tang hain ki yuun kaise
baghair sharm-o-haya bhi haya ke saath huun main
safar shurua to hone de apne saath mira
tu ḳhud kahega ye kaisi bala ke saath huun main
main chhu gaya to tira rang kaaT Dalunga
so apne aap se tujh ko bacha ke saath huun main
durud-bar-dil-e-vahshi salam-bar-tap-e-ishq
ḳhud apni hamd ḳhud apni sana ke saath huun main
yahi to farq hai mere aur un ke hal ke biich
shikayaten hain unhen aur raza ke saath huun main
main avvalin ki izzat men aḳhirin ka nuur
vo intiha huun ki har ibtida ke saath huun main
dikha.i duun bhi to kaise suna.i duun bhi to kyuun
vara-e-naqsh-o-nava huun fana ke saath huun main
ba-hukm-e-yar laven qabz karne aati hai
bujha rahi hai? bujha.e hava ke saath huun main
ye sabirin-e-mohabbat ye kashifin-e-junun
inhi ke sang inhin auliya ke saath huun main
kisi ke saath nahin huun magar jamal-e-ilaha
tiri qism tire har mubtala ke saath huun main
zamane bhar ko pata hai main kis tariq pe huun
sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke saath huun main
munafiqin-e-tasavvuf ki maut huun main ‘ali’
har ik asiil har ik be-riya ke saath huun main
Leave a Reply