manus ho ga.e hain andhe purane ghar se
bahar nahin nikalte ham raushni ke Dar se
saa.e ki aarzu men lipTe hue hain ham sab
sunsan raste men atish-zada shajar se
ham ḳhaak ho ke bhi har mauj-e-hava se uljhe
ya.ani tiri vafa ka sauda gaya na sar se
kya kya na gul khilenge kya kya na jashn honge
is kisht-e-arzu men badal kabhi jo barse
tere huzur the ham apni nazar se ojhal
ḳhud ko bhi aaj dekha gir kar tiri nazar se
ab tak hamen guman hai sahra pe gulistan ka
ik baar be-irada guzra tha vo udhar se
kyuun mutma.in khaḌe ho asudgan-e-sahil
dariya ka zor dekho gahra.i men utar ke
dil ka sukun luTa to sar kyuun raha salamat
kyuun zinda lauT aa.e ham ‘arsh’ us ke dar se
Leave a Reply