Chehra-E-Zindagi Nikhar Aaya

chehra-e-zindagī nikhar aayā

jab kabhī ham ne jaam chhalkāyā

shām-e-hijrāñ bhī ik qayāmat thī

aap aa.e to mujh ko yaad aayā

rañg phīkā paḌā vafāoñ kā

aaj kuchh is tarah vo sharmāyā

yuuñ to be-chainiyāñ muqaddar thiiñ

terī qurbat ne aur taḌpāyā

kyā qayāmat vo kam-nigāhī thī

har haqīqat ko jis ne jhuThlāyā

kyā huī vo diloñ kī māsūmī

husn rūThā na ishq pachhtāyā

haa.e kis kis maqām par dil ko

us uchaTtī nazar ne bhaTkāyā

ḳhud-shanāsī thī justujū terī

tujh ko DhūñDā to aap ko paayā

‘naqsh’ āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū

aaj aise meñ kaun yaad aayā

Leave a Comment