maqam-e-shauq se aage bhi ik rasta nikalta hai
kahen kya silsila dil ka kahan par ja nikalta hai
mizha tak aata jaata hai badan ka sab lahu khinch kar
kabhi kya is tarah bhi yaad ka kanta nikalta hai
dukan-e-dil badhate hain hisab-e-besh-o-kam kar lo
hamare naam par jis jis ka bhi jitna nikalta hai
abhi hai husn men husn-e-nazar ki kar-farmai
abhi se kya bataen ham ki vo kaisa nikalta hai
miyan-e-shahr hain ya ainon ke ru-ba-ru hain ham
jise bhi dekhte hain kuchh hamin jaisa nikalta hai
ye dil kyuun duub jaata hai usi se puchh lunga main
sitara sham-e-hijran ka idhar bhi aa nikalta hai
dil-e-muztar vafa ke baab men ye jald-bazi kya
zara ruk jaaen aur dekhen natija kya nikalta hai
Leave a Reply