sahar tak us pahaḌi ke aqab men ro ke aata huun
main nuqta-ha-e-girya par ikaTTha ho ke aata huun
udhar raste men chauthe kos par talab paḌta hai
main ḳhaak aur ḳhuun se luthḌi rikaben dho ke aata huun
yahan ik dasht men fir.aun ka ahram banta hai
main apni pusht par chaukor patthar Dho ke aata huun
abhi kuchh bazyabi ka amal ma.akus lagta hai
main jab bhi DhunDne jaata huun ḳhud ko kho ke aata huun
jahan parchha.in tak paḌti nahin hai ḳhak-zadon ki
usi ḳhali kure par saat mausam so ke aata huun
Leave a Reply