tur-e-dil ḳharab bana par bigaḌ gaya
go shisha-e-sharab bana par bigaḌ gaya
lipTa jo us se ḳhvab men main aankh khul ga.i
kaam ai qusur-e-ḳhvab bana par bigaḌ gaya
har-chand misl-e-ḳhana-e-duniya-e-be-sabat
main ḳhanuman-ḳharab bana par bigaḌ gaya
mumkin hui na tere pasine se hamsari
kis kis tarah gulab bana par bigaḌ gaya
pursish ke saath afv bhi ai ‘mehr’ tha sharik
daftar dam-e-hisab bana par bigaḌ gaya
Leave a Reply