jo dam men dam hai to saaqi ki justuju hi sahi
nahin sharab to sauda-e-arzu hi sahi
jo bandhna hai tasavvur hi apni ankhon men
to phir piyala-o-saghar hi kyuun subu hi sahi
salat-e-shar.a nahin jis ka ehtimam karen
namaz-e-ishq hai ai dil to be-vuzu hi sahi
junun men chaak hai daman to fikr-e-sozan kya
jo ban gaya hai gareban to be-rafu hi sahi
jo hai sharab harifan-e-bada-paima ko
hamare vaste mauzu-e-guftugu hi sahi
agar ḳhayal men ḳhvabon ki guunj baaqi hai
to aankh khulte hi ghogha-e-ha-o-hu hi sahi
fasana apne junun ka zaban zaban pe hai aaj
nahin jo sahra-ba-sahra to ku-ba-ku hi sahi
jafa-e-naz agar hai babang-e-tabl-o-duhal
to dil-dukhon ka gila surma-dar-gulu hi sahi
Leave a Reply