vo apne aansu
ek nazuk hair dryer se sukhati hai
jab us ki masnui palken
us ka badan chhupane men nakam ho jaati hain
das nakhun-tarash
us ke nakhunon ki dekh-bhal karte hain
vo bachchon ki tarah barte jaane se
tang aa chuki hai
pur-kashish badan ko milne vaale tamghon ke darmiyan se
vo machhli ki tarah
tair kar nikal jaati hai
apne talvon ke niche
vo gahrai aur drama chahti hai
us ke baal
shampō ki shishi par likhi hui hidayat par
sakhti se amal karte hain
mahauliyati aludgi ka khayal karte hue
vo koi bosa nahin deti
us ka takiya
duniya ke tamam ashiqon ke aansu
jazb kar sakta hai
Leave a Reply