dekho sakhi jag hai piya jag men piya dista hai khuub
ek tukhm juun gulzar men har phuul men hansta hai khuub
apne uupar rota piya anjhu bhi hai lalan mera
jiv shama jalti mom men apne upar rota hai khuub
saara hai jag lalan apan juun phuul saara baas hai
aqdas kahe main nuur sab diiva ki jyuun balta hai khuub
Leave a Reply