• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Tarah Paikar-E-Wafa Ho Jaen

Is Tarah Paikar-E-Wafa Ho Jaen

is tarah paikar-e-vafa ho jaa.en

ek duuje ka aasra ho jaa.en

aao mil baiTh kar hansen bolen

nahin ma.alum kab juda ho jaa.en

dukh kisi ko ho ham taḌap uTThen

is qadar dard-ashna ho jaa.en

ḳhushk dharti chaTaḳh rahi ho jab

bhari barsat ki ghaTa ho jaa.en

shahar jamid hai log be-avaz

aise mahaul men sada ho jaa.en

dushmanon ke liye banen sarsar

doston ke liye saba ho jaa.en

jo hamen dekhe dekh le ḳhud ko

sar-ba-sar sat.h-e-a.ina ho jaa.en

aag dil ki agar bhaḌak uTThe

ye dhundalke sahar-numa ho jaa.en

rang-e-alam badal raha hai ‘hazin’

nahin ma.alum kya se kya ho jaa.en

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

faiz-ahmad-faiz

Fikr-E-Sud-O-Ziyan To Chutegi

poet

Khudaya Hind Par Teri Inayat Ho Inayat Ho

poet

Duniya Se Aaj Jazb-E-Wafa Mangta Hun Main

Main Pursish-E-Gham-E-Furqat Ki Dad Deta Hun

jigar-moradabadi

Fikr-E-Manzil Hai Na Hosh-E-Jada-E-Manzil Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet