gham kahin samt-e-safar thi rahbar koi na tha
ek sahra-e-alam tha ham-safar koi na tha
us ko bhi ham ne yahi samjha tamasha hai koi
jab khulin ankhen nishan-e-sang-e-dar koi na tha
vaqt ham ko Thokaron par Thokaren deta raha
aur apne haath men tir-o-tabar koi na tha
qarya-e-bedad-ḳhvahan ki shikayat hai abas
shahr-e-ham-dardan men bhi to charagar koi na tha
dhajjiyan uḌti rahin jaib-o-gareban ki mire
rok deta bazm men ashufta-sar koi na tha
mere razon men na koi raaz baaqi rah gaya
ham-nashinon men mire na-mo’tabar koi na tha
is liye ham nargis-e-bimar ke qaa.il hue
us ke jaisa bhi chaman men dida-var koi na tha
dil ke zaḳhmon ko ata karna tha lafzon ka libas
aur ‘az.har’ maqsad-e-arz-e-hunar koi na tha
Leave a Reply