sar-e-ḳhayal hai ye kaun agar nahin huun main
jidhar talash rahe ho udhar nahin huun main
ye taur-e-justuju thoḌa badal ke dekho na
main aur kuchh bhi huun ik jism bhar nahin huun main
ye kis ki shakl meri zaat par numayan hai
miri tarah to lage hai magar nahin huun main
thakan safar ki sameTe hue huun paanv men
ye aur baat ki zer-e-safar nahin huun main
guzarte dam zara sha.istagi barat mujh se
main ek zat-e-bashar huun ki dar nahin huun main
main sochta huun ki ab ishq hi karun tujh se
bahut dinon se kisi kaam par nahin huun main
shab-e-javani huun aisa na ho guzar ja.un
so mujh ko ji lo ki phir umr bhar nahin huun main
Leave a Reply