asaas tak pahunch ga.iin havas tak pahunch ga.iin
nasib ki siyahiyan libas tak pahunch ga.iin
bas ek sard aah se labon pe niil paḌ ga.e
hamari na-rasa.iyan hiras tak pahunch ga.iin
phir aa.e din ki dushmani mohabbaton men Dhal ga.i
ki ghaTti ghaTti talḳhiyan miThas tak pahunch ga.iin
ye ishq aur mushk bhi chhupa.e kab chhape bhala
nikal ke sab kahaniyan class tak pahunch ga.iin
hamare dukh ki barkaten saheliyon ne buujh liin
aur un ki ḳhush-kalamiyan bhaḌas tak pahunch ga.iin
mire suḳhan men Dhal ga.i mire dukhon ki dastan
tire junun ki talḳhiyan gilas tak pahunch ga.iin
thakan ke saare zaviye masahriyon pe rah ga.e
badan ki saari silvaTen kapas tak pahunch ga.iin
mire rahim aap ki ata.en be-shumar hain
shurua hamd se huiin to naas tak pahunch ga.iin
Leave a Reply