ye sehhat-bakhsh tadka ye sahar ki jalva-samani
ufuq saara bana jaata hai daman-e-chaman jaise
chhalakti raushni tarikiyon pe chhai jaati hai
udaae naziyat ki laash par koi kafan jaise
ubalti surkhiyon ki zad pe hain halqe siyahi ke
padi ho aag men bikhri ghulami ki rasan jaise
shafaq ki chadaren rangin faza men thartharati hain
udaae laal jhanda ishtiraki anjuman jaise
chali aati hai sharmai lajai hur-e-bedari
bhare ghar men qadam tham tham ke rakhti hai dulhan jaise
faza gunji hui hai subh ke taaza taranon se
surud-e-fath par hain surkh faujen naghma-zan jaise
hava ki narm lahren gudgudati hain umangon ko
javan jazbat se karta ho chuhlen bankpan jaise
ye saada saada gardun pe tabassum-afrin suraj
pai-dar-pai kamyabi se ho stalin magan jaise
sahar ke aaine men dekhta huun husn-e-mustaqbil
utar aai hai chashm-e-shauq men ‘kaifi’ kiran jaise
Leave a Reply