muqabil us dur-e-dandan ke ye guhar kya hai
aur ‘aish’ laal ki us lab ke aage dar kya hai
ḳhayal-e-yar men ho mahv-e-be-ḳhudi aisa
mujhe ḳhabar nahin dil kya hai aur jigar kya hai
kahe hai ishq men naseh ki hai zarar dil ka
jo vaqa.i hai zarar ye hai to zarar kya hai
kiya hai nuuh ke tufan ko tu ne sharminda
irada ab tira kah aur chashm-e-tar kya hai
mila hai jis ko hasham qat-e-ma-siva allah
nazar men us ki ye duniya ka karr-o-far kya hai
tu meri aah se sina-sipar na ho ai charḳh
tujhe ḳhabar nahin is aah men asar kya hai
tu rah-e-ishq ke sadmon se mat Dara vaa.iz
jo sarfarosh hain is rah men un ko Dar kya hai
hamara chak-e-jigar baḳhiya-gar siyega che ḳhush
ye chaak vo nahin maqdur-e-baḳhiya-gar kya hai
ḳhayal jis ko ruḳh-o-zulf-e-yar ka hai bandha
vo janta hi nahin shaam aur sahar kya hai
hai dil ko naaz tire jis jahan-e-fani par
bata vo aur ba-juz ḳhana-e-do-dar kya hai
tu kis ghamanD pe misl-e-sharar uchhalta hai
ḳhayal dil men to kar hasti-e-sharar kya hai
ḳhuda ne khola hai ye raaz jin pe aalam men
vo jante hain ki mahiyyat-e-ashar kya hai
buton ko sajda-e-dar ke siva bata ai ‘aish’
jahan men ham ne kiya aur umr bhar kya hai
Leave a Reply