uljhan men hast-o-bud ki yuun mubtala huun main
khud apna aks huun ki tira aaina huun main
mujh ko kiya hai laiq-e-sajda isi liye
ajza-e-kaenat men sab se juda huun main
tu ek hai magar hain tire an-ginat majaz
har aaine men tere numayan hua huun main
tishna-labi men zabt ho aur vo bhi us ghadi
jab ittifaq se lab-e-dariya khada huun main
manind-e-kahkashan ye mitati hai tirgi
padh kar kitab-e-ishq ko raushan hua huun main
asudgi ko chhod vo hasil rahi mujhe
lekin mohabbaton ko tarasta raha huun main
dariya sifat bhi ho ke na sairab kar saka
barse bina jo chhat gai aisi ghata huun main
dast-e-jafa se jis ke ye vahshat mujhe mili
us ko bhi hai gila ki darinda-numa huun main
tanhai men ik alam-e-imkan basa liya
‘adil’ yuun apne aap men kuchh dhundhta huun main
Leave a Reply