chaman men rah ke bhi kyuun dil ki virani nahin jaati
bas itni baat par logon ki hairani nahin jaati
muqaddar par hua huun jab se main raazi usi din se
ḳhushi ho ya ki gham chehre ki tabani nahin jaati
farishte bhi hamari qismaton par naaz karte hain
magar apni haqiqat ham se pahchani nahin jaati
ana ka mas.ala divangi se kam nahin hota
haqiqat kitni bhi vazeh ho vo maani nahin jaati
haqiqat men vo a.ina-sifat insan hota hai
ki tauba kar ke bhi jis ki pashemani nahin jaati
ye shikve aur ye hile-bahane kyuun abas kiije
jinhen bachna ho un ki pak-damani nahin jaati
nazar men phir raha hai bas kisi ke husn ka manzar
mazaq-e-did ki vo jalva-samani nahin jaati
mohabbat ke liye ab to riya-kari zaruri hai
yahan ahl-e-junun ki qadr pahchani nahin jaati
qayamat ki nishani ye nahin to aur phir kya hai
libas achchhe hain lekin phir bhi uryani nahin jaati
ta.alluq duriyon se aur bhi mazbut hota hai
‘sahar’ insan ki lekin ḳhu-e-nadani nahin jaati
Leave a Reply