DhunDne valon ko bhi kya na mila
jhuuT kahte ho tum ḳhuda na mila
ik faqat tera aasra tha mujhe
ik faqat tera aasra na mila
shash-jihat men ye ham ne dekha hai
koi bhi aap ke siva na mila
jis men ham ḳhud ko dekh sakte kabhi
koi bhi aisa aa.ina na mila
sarguzisht ham ne kah to di lekin
koi bhi dard-ashna na mila
muflisi meri dekh kar hi ‘zohaib’
aaj mujh se vo dilruba na mila
Leave a Reply