dobara hone lage manzaron men manzar gum
kahan hai tu ki hai maujud gum mayassar gum
ajal-girafta hain ham aa idhar rudali aa
jo nauhagar the hamare hue vo yaksar gum
na jal-pari hi vo aa.i na badban khula
aur apne-ap men dekha gaya samundar gum
main tere dhyan ke daman ko thaam kar nikla
vagarna dekha gaya ḳhizr gum sikandar gum
ye kaun le gaya paani hamari jhilon se
parinde DhunD rahe hain kahan hai kinjhar gum
Leave a Reply