jalva-faroz dil men hai vo gul-ezar aaj
uf re ḳhizan-rasida chaman ki bahar aaj
donon ko har taraf hai tira intizar aaj
dil ko qarar hai na nazar ko qarar aaj
dekhen to chuum len dam-e-ara.ish a.ina
un ko bhi apni shakl pe aa jaa.e pyaar aaj
lo intiha-e-shauq ne divana kar diya
main hans raha huun sub.h se be-iḳhtiyar aaj
dil mahv-e-iztirab to lab sirf vaah va
kitne maze ki hai ḳhalish-e-intizar aaj
Leave a Reply