Kuchh Roz Se Pareshan Wo Zulf-E-Mushkbu Hai

kuchh roz se pareshāñ vo zulf-e-mushkbū hai

mere hī hāl-e-dil kī tasvīr hū-ba-hū hai

ye kis kī aarzū hai ye kis kī justujū hai

kis kī talāsh meñ dil āvāra kū-ba-kū hai

ai be-adab ye kaisā andāz-e-guftugū hai

kambaḳht kuchh ḳhabar hai tū kis ke rū-ba-rū hai

phir koī zaḳhm taaza shāyad milegā dil ko

tāmīr-e-āshiyāñ kī phir dil ko aarzū hai

un ke karam kī hasrat un ke sitam kā shikva

muddat se ‘shauq’ apnā mauzū-e-guftugū hai

Leave a Comment