mizan-e-vaqiat men tola nahin gaya
itna vo na-sipas tha likkha nahin gaya
khushbu ki aarzu men saza qaid ki hui
sahra utha ke laae to puchha nahin gaya
yuun bhi main apne baare men kuchh likh nahin saka
lafzon ka shor aisa tha socha nahin gaya
donon ko fart-e-shauq ne lab-basta kar diya
vo chup raha to ham se bhi bola nahin gaya
qarz-e-firaq main ne mukammal chuka diya
lekin mire hisab se kaata nahin gaya
kaise bhala fasane men sach ki talash ho
lafzon ka her-pher hi pakda nahin gaya
aise safar-nasib hain pushton se ham ‘amir’
ab tak hamare paanv ka chhala nahin gaya
Leave a Reply