• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dopahar Raat Aa Chuki Hila-Bahana Ho Chuka

dopahar Raat Aa Chuki Hila-Bahana Ho Chuka

hatim-ali-mehr

dopahar raat aa chuki hila-bahana ho chuka

aur masti mil chuke gesu men shana ho chuka

navak-e-mizhgan ka apna dil nishana ho chuka

mar chuke ham maut aane ka bahana ho chuka

ahd-e-piri hai javani ka zamana ho chuka

khatm ab mazmun sher-e-ashiqana ho chuka

ab khizan hai mausam-e-gul ka zamana ho chuka

ho chuki gul-bang bulbul ka tarana ho chuka

shiir se shirin ko raghbat thi unhen hai zauq-e-mai

daur bhi ab aur hai agla zamana ho chuka

saqiya piiri men to shaghl-e-subuhi hai zarur

ab bhi pichhla daur hai agla zamana ho chuka

shabnami par os padti hai jo apni ziist men

to pas-e-murdan lahad par shamiyana ho chuka

ham to gard-e-karvan the sab se pichhe rah gae

qafila reg-e-ravan ka bhi ravana ho chuka

asman par taan-e-bukhl ahl-e-zamin ko hai abas

paani paani ho gaya jab daana daana ho chuka

chat chuke qaid-e-qafas se ab asiran-e-chaman

baad virane ke abad ashiyana ho chuka

amad-e-fasl-e-bahari ki khabar laai nasim

baagh men bulbul ka tayyar ashiyana ho chuka

kya khizan men ab-o-rang-e-bagh favvaron se ho

sab zar-e-gul lut chuka khali khazana ho chuka

vaae nadani ki ab fikr-e-subuk-doshi hui

daftar-e-isyann jab apna bar-e-shana ho chuka

gil utha zanjir se pariyon ka divana hai ye

ishq men badnam main khana-ba-khana ho chuka

gor tak vo saath mayyat ke rahe had ho gai

dushman-e-jan se bhi haqq-e-dostana ho chuka

ham faqiron ke bhi ghar laai thi un ko sadgi

ab vo lillah hai buton ka karkhana ho chuka

khvab-e-ghaflat ‘mehr’ kab tak jagiye uth baithiye

subh hone aai shab guzri fasana ho chuka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Dil Mein Rakh zaKHm-E-Nawa Rah Mein Kaam Aaega

Charagh Bas Isi Ummid Par Jala Karega

Ahd-E-Wafa Subuk-Hawa Rang-E-Wafa Ke Sath Sath

Karwan Se Kuchh Is Tarah bichhDe

Sae Jo Sang-E-Rah the Raste Se haT Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet