kucha-e-ishq se kuchh khvab utha kar le aae
the gada tohfa-e-nayab utha kar le aae
kaun si kashti men baithen tire bande maula
ab jo duniya koi sailab utha kar le aae
haae vo log gae chand se milne aur phira
apne hi tuute hue khvab utha kar le aae
aisa ziddi tha mira ishq na bahla phir bhi
log sach-much kai mahtab utha kar le aae
sath-e-sahil na rahi jab koi qimat in ki
ham khazanon ko tah-e-ab utha kar le aae
jab mila husn bhi harjai to us bazm se ham
ishq-e-avara ko betab utha kar le aae
is ko kam-zarfi-e-rindan-e-girami kahiye
nashe chhod aae mai-e-nab utha kar le aae
anjuman-sazi-e-arbab-e-hunar kya kahiye
un ko vo aur unhen ahbab utha kar le aae
ham vo shair hamen likhne lage jab log to ham
guftugu ke nae adab utha kar le aae
khvab men lazzat-e-yak-khvab hai duniya meri
aur mire falsafi asbab utha kar le aae
Leave a Reply