ye nazuk si mire andar ki ladki
ajab jazbe ajab tevar ki ladki
yunhi zakhmi nahin hain haath mere
tarashi main ne ik patthar ki ladki
khadi hai fikr ke azar-kade men
burida-dast phir aazar ki ladki
ana khoi to kudh kar mar gai vo
badi hassas thi andar ki ladki
sazavar-e-hunar mujh ko na thahra
ye fan mera na main aazar ki ladki
bikhar kar shisha shisha reza reza
simat kar phuul se paikar ki ladki
haveli ke makin to chahte the
ki ghar hi men rahe ye ghar ki ladki
Leave a Reply