ek be-hasil talab be-nam ik manzil bana
TuTne ke ba.ad hi dil dar-haqiqat dil bana
manzilen hi kya naya har jada-e-manzil bana
lekin apne aap ko pahle kisi qabil bana
ham fareb-e-rang-o-bu kha kar bhi aage baḌh ga.e
kam-nigahon ke liye har marhala mushkil bana
kis qadar ahd-afrin aalam hai teri zaat ka
jo tiri mahfil men aaya vo ḳhud ik mahfil bana
gham se na-manus rahne tak thiin saari talḳhiyan
rafta rafta gham hi apni umr ka hasil bana
pi ga.e kitne hi aansu ham ba-nam-e-zindagi
ek muddat men kahin dil dard ke qabil bana
jazba-e-manzil salamat raston ki kya kami
ham jidhar nikle naya ik jada-e-manzil bana
har maqam-e-zindagi par tha mira aalam juda
main kahin tufan kahin kashti kahin sahil bana
tabsire karne lage hain log hasb-e-hausla
‘shauq’ asani se main kuchh aur bhi mushkil bana
Leave a Reply