kahan kahan na tasavvur ne daam phaila.e
hudud-e-sham-o-sahr se nikal ke dekh aa.e
nahin payam rah-e-nama-o-payam tu hai
abhi saba se kaho un ke dil ko bahla.e
ghurur-e-jada-shanasi baja sahi lekin
suragh-e-manzil-e-maqsud bhi koi paa.e
ḳhuda vo din na dikha.e ki rahbar ye kahe
chale the jaane kahan se kahan nikal aa.e
guzar gaya koi darmanda-rah ye kahta
ab is faza men koi qafile na Thahra.e
na jaane un ke muqaddar men kyuun hai tira-shabi
vo ham-nava jo sahar ko qarib-tar laa.e
koi fareb-e-nazar hai ki tabnak faza
kise ḳhabar ki yahan kitne chand gahna.e
gham-e-zamana tiri zulmaten hi kya kam thiin
ki baḌh chale hain ab un gesuon ke bhi saa.e
bahut buland hai is se mira maqam-e-ghazal
agarche main ne mohabbat ke giit bhi gaa.e
‘hafiz’ apna muqaddar ‘hafiz’ apna nasib
gire the phuul magar ham ne zaḳhm hi khaa.e
Leave a Reply