• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Junun Ke Marke Itne Nahin Aasan Bhi

Ye Junun Ke Marke Itne Nahin Aasan Bhi

ye junun ke ma.arke itne nahin asan bhi

soch lena is men ja sakti hai teri jaan bhi

raushni bhi chahiye taaza hava ke saath saath

khiḌkiyan rakhta huun apne ghar men roshan-dan bhi

zindagi men jo tumhen ḳhud se ziyada the aziiz

un se milne kya kabhi jaate ho qabristan bhi

gaanv ki pagDanDiyan pakki saḌak se ja milin

tang galiyon men badal kar rah ga.e maidan bhi

pasban-e-aql ne to mujh ko samjhaya bahut

tha magar pahlu men mere dil sa ik nadan bhi

ḳhushk hain dariya samundar kaT ga.e jangal tamam

ret se ḳhali hue jaate hain registan bhi

mere lafzon ke ujale maand paḌte ja.enge

dhund men kho ja.egi ik din miri pahchan bhi

ḳhud ko kaise qatl hone se bachata men ‘talab’

raat mere ghar men ik qatil tha aur mehman bhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdussalam-asim

Baras Ke Bhi Na Mere Kaam Aa Saki Barish

nida-fazli

Aaj Zara Fursat Pai Thi Aaj Use Phir Yaad Kiya

rahat-indori

Raat Ki dhadkan Jab Tak Jari Rahti Hai

Sufi

Wo Mere Qalb Ko Chhedega Kab Guman Mein Tha

Sharar-E-Ishq Sadiyon Ka Safar Karta Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet