• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Aazadi Se Nindon Tak

Aazadi Se Nindon Tak

tanveer-anjum

zindagi ki chattanon se

sazaon ka samundar takrata hai

aur safed chattanen samundar ki kaali kar dene vaali taqat se be-khabar

khvabon ke ghurur se labrez hain

paani chattanon men raste banata rahta hai

aur aise men koi nahin janta

ham azadi ke jog men

tanhai ke kis kis jangal men bhatke hain

azadi ke libas ko apna badan samajh kar

vahshi sannaton ki aamad se be-khabar

ham kahan kahan bhatke hain

aur jab libas phat jaate hain

ham in chithdon ko apne be-libas tanhaiyon men

yuun chhupa lete hain

jaise zinda maan ki ankhen murda bachche ki akhiri didar ko chhupa leti hain

to aise men samundar sailab ho jaata hai

aur safed chattanen

sazaon men dafn

apne alava sab kuchh bhuul jaane par majbur ho jaati hain

ham sailab men na bahe jaane ka dukh liye

nindon tak aa jaate hain

aur ham chattanon se guzarne vaale paani ke raste band nahin kar sakte to

hans dete hain

aur nindon ki bhiik jama karte karte

vahshi sannaton ki aamad ke haul men

ham sona bhuul jaate hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aur Duniya Mein Humne Kya Dekha

poet

Aise Hi Din the Kuchh Aisi Sham Thi

poet

Duri Mein Kyun Ki Ho Na Tamanna Huzur Ki

nida-fazli

september1965

mushafi-ghulam-hamdani

Ai Ishq Teri Ab Ke Wo Tasir Kya Hui

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet